Home

About Me

Fun Links

My Backlinks

My favourite songs


 maiyya yashoda mori gagri se
 natkhat natkhat jamuna ke tatt par,
kuch to churaye haye maiyya
dil churaye neend churaye chain churaye haye maiyya
kaise main jaaun ghar apne sab laaj sharam main chhodi re
kaise kahun kis natkhat ne kiya maakhan chori re..

maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par maakhan haan koi, re maakhan chura le gaya
ho maiyya yashoda kaise jaaun ghar jamuna ke pul par maakhan haan koi, re maakhan chura le gaya
mori baanh modi, natkhat re,
kare dil ko jodi, natkhat re,
mori gagri phooti, natkhat re,
main bojh se chhooti, natkhat re,
mori thaame kalai us kinare le gaya

maiya yashoda sach kehta hoon main jamuna ke pul par maakhan ki gagri se maakhan bachane gaya
haan maiya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par maakhan haan koi, re maakhan chura le gaya

ho suna tha ik din maine jamuna tat par chalte chalte
kisi gopi ko baith akele rote raina dhalte
maine socha ke meri maiyya se main kya bolunga
kahe na roka us roti goriya ke dil ko jalte
haan maakhan to churaya
par usko bhi sikhaya
ke tu bhi to thoda sa chakh le bhai..

ho maayi hum dono phir jahan baithe us jamuna ke pul par maakhan hum mil ke re maakhan chata ho gaya
ooo.. maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par maakhan haan koi, re maakhan chura leyy gaya

mahi mohe laaj aave kaahe main ro-ro karti thi
koi maakhan chori main baith ke bas aahen bharti thi,
phir tere natkhat ne ek din mohe ye raaz bataya
ho phir tere natkhat ne ek din mohe ye raaz bataya
jo maakhan jam ke khaye to kya koi churaye
to chakh le aur chakha le thoda maayi
o maayi tore matkhat ko maine hi jamuna ke pul par maakhan khilaya, re maakhan mera ho gaya
maiyya yashoda sach kehta hoon main jamna ke pul par maakhan haan gori ko maakhan khilane gaya..

natkhat natkhat jamuna ke tatt par,
kuchh to churaye haye maiyya
dil churaye neend churaye chain churaye haye maiyya
kaise main jaaun ghar apne sab laaj sharam main chhodi re
kaise kahun kis natkhat ne kiya maakhan chori re..

ooo mayya yashoda, ho mayya yashoda
hooo mayya yashoda mori mayya yashoda mori
maiyya yashoda sach kehta hoon main jamuna ke pul par maakhan ki gagri se maakhan bachane gaya
natkhat natkhat jamuna ke tatt par, ho maiyya yashoda,
natkhat natkhat jamuna ke tatt par, ho maiyya yashoda,
natkhat natkhat jamuna ke tatt par,
kuch to churaye haye maiyya
dil churaye neend churaye chain churaye haye maiyya
kaise main jaaun ghar apne sab laaj sharam main chhodi re
kaise kahun kis natkhat ne kiya maakhan chori re..
 My favourite song
Khudayaa Ve.........
(Khudaaya Ve Haay Ishq Hai Kaisa Yeh Ajeeb Re) - 2
(Dil Ke Kareeb Laaya, Dil Ka Naseeb Re) - 2
(Khudaaya Ve Haay Ishq Hai Kaisa Yeh Ajeeb Re) - 2
Aaaa… Tana Re Tana….Derena...

(Aankhon Se Khwaab Ruthe, Apano Ke Saath Choote
Tapati Huyi Raahon Mein Pairon Ke Chhaale Phute) - 2
(Pyaase Tadap Rahein Hain, Saahil Kareeb Hai) - 2
(Khudaaya Ve Haay Ishq Hai Kaisa Yeh Ajeeb Re) - 2

Ni Sa Re Ni Sa Re Re Ga Re Ga Re Re Ga Re,
Ma Ga Re Sa Ma Ga Re Sa Ma Ga Re Sa…

(Aansu Namak Se Lage, Rishte Hai Kachche Dhaage
Ret Pe Apane Saaye Khud Se Kyun Dur Bhaage) - 2
(Kheech Ke Humko Laaye,Kahan Pe Rakeeb Re) - 2
(Khudaaya Ve Haay Ishq Hai Kaisa Yeh Ajeeb Re) - 2

(Khudaaya Ve Haay Ishq Hai Kaisa Yeh Ajeeb Re) - 2

My favourite song
Kuch Is Tarah.............
(Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de)-2

Tu har ghadi har waqt mere saath raha hai
Haan yeh jism kabhi door kabhi paas raha hai
Jo bhi gham hain yeh tere unhein tu mera pataa de

Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de

Mujhko toh tere chehre pe yeh ghum nahin janchta
Jaayiz nahin lagta mujhe ghum se tera rishta
Sun meri ghuzarish ise chehre se hataa de
Sun meri ghuzarish ise chehre se hataa de
 
Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de


My favourite song

Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha
Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha
Khamaka Bewaja Khwaab Buntha Raha
Hmmmm Mmm Mmmmmm… Mmm Mmmm

[Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha....]

Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha
Khamaka Bewaja Khwaab Buntha Raha
Jaane Kiski Humein Lag Gayi Hai Nazar
Is Shehar Mein Na Apna Tikana Raha
Durr Chahat Se Mein Apni Chalta Raha
Khamaka Bewaja Khwaab Buntha Raha

Gar Woh Pehle Se Hai Zyaada, Khud Se Phir Yeh Kiya Wada
Khamosh Nazrein Rahe Bezuban
Hmmmm…Mmm…Mmmm…
Apno Phele Si Baatein Hai, Bolo Tho Lab Thar Tharatein Hai
Raaz Yeh Dil Ka, Na Ho Bayaan
Ho Gaya Ke Aasar Koi Hum Pe Nayi
Humsafar Mein Tho Hai Humsafar Hai Nayi
Durr Jatha Raha, Paas Aatha Raha
Khamaka Bewaja Khwaab Buntha Raha
Hmmm…Mmm…Mmmmm…

[Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha...]

Aaya Woh Phir Nazar Aise, Baat Chidne Lagi Phir Se
Aankho Mein Chubtha Kal Ka Dhuwaa
Hmmm..Mmm…Mmm…
Hal Tera Na Hum Sa Hi, Is Khushi Mein Kyun Gham Sa Hi
Basne Laga Kuyn Phir Woh Jahan
Woh Jahan Dur Jisse Gaye Te Nikal
Phir Se Yaadon Ne Kar Di Hai Jaise Pehal
Lamha Beeta Huwa, Dil Dhukata Raha
Khamaka Bewaja Khwaab Buntha Raha

Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha
Khamaka Bewaja Khwaab Buntha Raha
Jaane Kiski Humein Lag Gayi Hai Nazar
Is Shehar Mein Na Apna Tikana Raha
Durr Chahat Se Mein Apni Chalta Raha
Bhuj Gayi Aag Thi, Dhaag Jalta Raha

Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha....

My favourite song

Panchhi nadiyaan pawan ke jhonke 
(Panchhi nadiyaan pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke--2
Sarhad insaanon ke liye hai
Socho tum aur maine kya paaya
Insaan hoke)--2

Jo hum dono panchhi hote
Tairte hum is neele gagan mein
Pankh pasaare
Saari dharti apni hoti
Apne hote saare nazaare
Khuli fizaaon mein udte
Khuli fizaaon mein udte
Apne dilon mein hum saara pyaar samokhe 

Panchhi nadiyaan pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhad insaanon ke liye hai
Socho tum aur maine kya paaya
Insaan hoke 

Jo main hoti nadiya aur tum pawan ke johke to kya hota
O jo main hoti nadiya aur tum pawan ke johke to kya hota
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko jab chhoote hain
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko jab chhoote hain
Lehrein hi lehrein banti hain
Hum dono jab milte kuchh aisa hota
Sab kehte ye leher leher jo bhi jaaye na koi toke 

Panchhi nadiyaan pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhad insaanon ke liye hai
Socho tum aur maine kya paaya
Insaan hoke
Panchhi nadiyaan pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke 
My favourite song